Friday, September 7

Partition


"Moslem refugees crowding a train that will take them from Delhi into Pakistan" read the caption of the photograph published in The Manchester Guardian on August 27, 1947

1 comment:

मनोज धीमान said...

Qafila
(A poem in Hindi by Manoj Dhiman/Ludhiana)

Qafila tyar hai
apni maati chod
door kahin jane ko

dil mein
gamon ka bojh liye
khinch chuki
ek lakeer ke us paar
chale jane ko

safr shuru hone ke baad
manzil
mil bhi paigi yaa nahin
kah nahin sakte
hamein ab kahin
apni zamin
mil bhi paigi yaa nahin

ho sakta hai
raaste mein kahin
qatl ho jayein
janoonion ke
haath lag jayein

kuchh bhi ho
itihaas gawah hoga
ek lakeer ke liye
janoon aisa bhi hua thaa
kabhi kitabon mein likha hoga

---------